Dhamkī meñ mar gayā jo na bāb-e-Nabard thā
Ishq-e-nabard-pesha Talabgār-e-mard thā
Thā zindagī meñ marg kā khatkā lagā huā
Udne se pesh-tar bhī mirā rañg Zard thā
Tālīf nusḳha-hā-e-vafā kar rahā thā maiñ
Majmūa-e-ḳhayāl abhī fard fard thā
Dil tā jigar ki sāhil-e-dariyā-e-ḳhūñ hai ab
Is rahguzar meñ jalva-e-gul aage gard thā
Jaatī hai koī kashmakash andoh-e-Ishq kī
Dil bhī agar gayā to vahī dil kā dard thā
ahbāb chārasāzi-e-vahshat na kar sake
Zindāñ meñ bhī ḳhayāl bayābāñ-navard thā
Ye lāsh-e-be-kafan ‘asad’-e-Khasta-jāñ kī hai
Haq maġhfirat kare ajab āzād mard thā….