Dekh kar dar-Parda garm-e-Dāman-Afshānī mujhe
Kar ga.ī vābasta-e-tan merī Uryānī mujhe
Ban gayā teġh-e-nigāh-e-yār kā sañg-e-fasāñ
Marhabā maiñ kyā mubārak hai girāñ-jānī mujhe
Kyuuñ na ho be-iltifātī us kī ḳhātir jam.a hai
Jāntā hai Mahv-E-Pursish-hā-e-pinhānī mujhe
Mere ġham-ḳhāne kī Qismat jab raqam hone lagī
Likh diyā min-jumla-e-asbāb-e-vīrānī mujhe
Bad-gumāñ hotā hai vo kāfir na hotā kaash ke
Is qadar zauq-e-navā-e-Murġh-e-bustānī mujhe
Vaae vaañ bhī shor-e-Mahshar ne na dam lene diyā
Le gayā thā gor meñ zauq-e-tan-āsānī mujhe
Vada aane kā vafā kiije ye kyā Andāz hai
Tum ne kyuuñ sauñpī hai mere ghar kī darbānī mujhe
Haañ nashāt-e-āmad-e-fasl-e-bahārī vaah vaah
Phir huā hai taaza saudā-e-Gazal-ḳhvānī mujhe
Dī mire bhaa.ī ko haq ne az-sar-e-nau zindagī
Mīrzā yūsuf hai ‘ġhālib’ yūsuf-e-sānī mujhe