Dahr meñ naqsh-e-vafā vajhe-tasallī na huā
Hai ye vo lafz ki sharminda-e-manī na huā
Sabza-e-ḳhat se tirā kākul-e-sarkash na dabā
Ye zamurrad bhī harīf-e-dam-e-afī na huā
Maiñ ne chāhā thā ki andoh-e-vafā se Chhūtūñ
Vo sitamgar mire marne pe bhī Raazī na huā
Dil guzargāh-e-ḳhayāl-e-mai-o-Sāġhar hī sahī
Gar nafas jāda-e-sar-manzil-e-Taqvī na huā
Huñ tire va.ada na karne meñ bhī Raazī ki kabhī
Gosh minnat-kash-e-gulbāñg-e-tasallī na huā
Kis se mahrūmī-e-qismat kī shikāyat kiije
Ham ne chāhā thā ki mar jaa.eñ so vo bhī na huā
Mar gayā sadma-e-yak-jumbish-e-lab se ‘Ghālib’
Nā-tavānī se harīf-e-dam-e-īsī na huā
Na huī ham se raqam hairat-e-ḳhatt-e-ruḳh-e-yār
Safha-e.ā.ina jaulāñ-gah-e-tūtī na huā
E-rahmat-e-haq dekh ki Baḳhshā jaave
Mujh sā kāfir ki jo mamnūn-e-ma.āsī na huā….