Koi ishaara, dilaasa na koi waada magar,
jab aayi sham to tera intezaar karne laga,
Bicchda kuch is kadar se ki rut hi badal gayi,
Ik shakhs saare seher ko viraan kar gaya.
Tag: sad life shayari
-

Koi Ishaara, Dilaasa Na Koi Waada Magar
-

Humara Zikr Bhi Ab Jurm Ho Gaya
Humara zikr bhi ab jurm ho gaya hai wahan,
Dinon ki baat hai mehfil ki aabru hum the,
Khayal tha ke ye pathrav rok dein chal kar,
Jo hosh aaya toh dekha lahu luhan hum the. -

Uski Awaz Kanon Tak Aayi Aur Laut Gayi
Uski awaz kanon tak aayi aur laut gayi,
Zamana chal raha tha aur chalta rha Fareeb ka,
Kuch pal hi beete the tab jakar ehsas hua,
Laut kar dekha pichhe to akela tha khada. -

Aaj Mai Tanha Hoon
Aaj mai tanha hoon, behal hoon pareshan hoon,
apne hi liye in faislon se hairan hoon,
Kbhi na socha tha ke kismat ka diya bujh jaega,
aur hakeekat ke is mor par sab tanha reh jaega,
kitna aur kab tak sahoon, akhir mai bhi ek insan hoon. -

Koi Khamosh Baitha Hai
Koi khamosh baitha hai, kisi ki ankhon mein aanshu,
kisi ko parvah nahi teri, aye pagle tu pareshan hai kyun,
teri manzil teri hai raah, chalna tujhe akele hai,
Bana le tu khud apni raah, kyu dheeraj khota hai tu. -

Nigahon Mein Ye Moti Hain, Ya Angare Hai Bhare Isme
Nigahon mein ye moti hain, ya angare hai bhare isme,
Surkh chimni hai, pighalti hai motiya isme,
Sambhalu khud ko mai, ya mujhko sambhalo yaaron,
Hausla har chuka, ab nahi mujh mein himmat yaaron.Bedaag Samundar hai, bahut door kinara hai,
Tair kar jaun ye dariya, ya doob jaun yaaron.
Mehfil ye haseen hai, shama-o-Bahar hai isme,
Khusbu to bhut hai lekin, pakeezgi nahi yaaron.
Mai chala jaun to koi gam na karna,
Zindagi to asli apni, maut ke bad hai yaaron. -

Wafa ke ashk se rukhsaar jalne lagte hain
Wafa ke ashk se rukhsaar jalne lagte hain,
Dil-o-nazar dar-o-diwaar jalne lagte hain,
Khud apni aag mein jalte hain jab gul-o-laal,
Mohabbat ki aag mein gulzaar jalne lagte hain. -

Naseebon Ki Daur Mein
Naseebon ki daur mein, mai sabse badnaseeb tha,
Apno ko door kar, parayon ke kareeb tha,
ghut ghut kar jeeta raha dusron ke liye,
Zindagi ko kareeb se dekhna azeeb tha.Dosti ki daur mein, mai dushmano ke ajeej tha,
Dekhte sab mujhe pyar se, vo daur bhi naseeb tha,
mohabbat bhi na nibha saka mai aye yaaron,
Use pakar bhi tanha aur rusvaee ke kareeb tha. -

Yun Dekh Kar Guzra Zamana
Yun dekh kar guzra zamana, tanhaiyon mein sochta hoon,
Kya paya hai maine ab tak aur kya khojta hoon,Har pal nazar aata hai mujhko, guzra hua vo haseen pal,
Jisne badal dia mujhe aur toot kar yun bikhra hoon. -

Chor Bhi Unka, Kotwal Bhi Unka
Chor bhi unka, kotwal bhi unka,
Hum Ram Raheem me uljhe rahe,
lehre to bahut si aai, har daur me aksar,
hum to bas mazhab ki leher mein behte rahe.