Tag: new sad life shayari

  • Koi Ishaara, Dilaasa Na Koi Waada Magar

    Koi Ishaara, Dilaasa Na Koi Waada Magar

    Koi ishaara, dilaasa na koi waada magar,
    jab aayi sham to tera intezaar karne laga,
    Bicchda kuch is kadar se ki rut hi badal gayi,
    Ik shakhs saare seher ko viraan kar gaya.

  • Humara Zikr Bhi Ab Jurm Ho Gaya

    Humara Zikr Bhi Ab Jurm Ho Gaya

    Humara zikr bhi ab jurm ho gaya hai wahan,
    Dinon ki baat hai mehfil ki aabru hum the,
    Khayal tha ke ye pathrav rok dein chal kar,
    Jo hosh aaya toh dekha lahu luhan hum the.

  • Ab Na Main Hoon

    Ab Na Main Hoon

    Ab na main hoon, Na baaki hai zamane mere,
    Fir bhi mashhoor hain shaharon mein fasane mere,
    Zindagi hai toh naye zakhm bhi lag jayenge,
    Ab bhi baaki hain kayi dost puraane mere.

  • Kyun Insan Hasta Hai Rone Ke Baad

    Kyun Insan Hasta Hai Rone Ke Baad

    Kyun insan hasta hai rone ke baad,
    Jeena fir bhi padta hai sab khone ke baad,
    Sochta hoon aaj sabko yaad kar loon,
    Kya pata aankh hi na khule sone ke baad.

  • Aksar Aam Ho Jate Hain

    Aksar Aam Ho Jate Hain

    Aksar aam ho jate hain kuch paigam,
    Vo jo kisi ko yaad nahi rehte,
    Hum bhi sochte hain kabhi likhne ko,
    kuch to hai jo sare aam nahi likhte.

    Kya likhun kiske liye likhun,
    makhluuk jo ab ashraful na rahe,
    Ya vo kaum jo jahiliyat ki rah pe chal pade,
    Paigaam kya mai unke liye likhun.