Tag: motivational shayari

  • डाली से टूटा फूल

    डाली से टूटा फूल

    डाली से टूटा *फूल* फिर से
    लग नहीं सकता है
    मगर
    डाली *मजबूत* हो तो उस पर
    नया फूल *खिल* सकता है!!!
    उसी तरह *ज़िन्दगी* में
    खोये *पल* को ला नहीं सकते
    मगर
    *हौसलें* व *विश्वास* से
    आने वाले हर पल को
    *खुबसूरत* बना सकते हैं !!!

  • तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है

    तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है

    तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है,
    हमें तो जिस ने हँस कर भी पुकारा याद रहता है,
    मोहब्बत में जो डूबा हो उसे साहिल से क्या लेना,
    किसे इस बहर में जा कर किनारा याद रहता है।

  • Chalo Aik Bar Phir Se Muhabbat Ker Ke Dekhte Hai..!

    Chalo Aik Bar Phir Se Muhabbat Ker Ke Dekhte Hai..!

    Nafrat se bhare in lamho ko ,nae dhage me piroker dekhte hai..!

    Jo andekha tha abtak, use aik nae sire se jodker ker dekhte hai..!!

    Chalo aik bar phir se muhabbat ker ke dekhte hai..!!

    Jb pyar kea tha to na mazhab dekhi na gareebi, magar aj har koe dharam se jor kerdekhte hai..!

    Ameeri bhi aik nae mazhab si ban gae hai, har koe naam se pehle, aamdani puchte hai..!!

    Chalo muhabbat ko bhi aik nae mazhab se jor ker dekhte hai..!

    Chalo aik bar phir se muhabbat ker ke dekhte hai..!!

    Koe apna manta hai, to koe apno ko manta hai..!

    Jo dil ko dukhae use dushman mante hai..!!

    Chalo aj dushmano se bhi thoda Dil jodker dekhte hai..!

    Chalo aj phir se muhabbat ker ke dekhte hai..!!

  • Naseeb Badla To Gunge Bhi Burae Karne Lage..!

    Naseeb Badla To Gunge Bhi Burae Karne Lage..!

    Naseeb badla to gunge bhi burae karne lage..!

    Jo pahuch na sake humare barabar, mere pairo tale khudae karne lage..!!

  • Chhu Loon Aasman Ko Mai

    Chhu Loon Aasman Ko Mai

    Chhu loon aasman ko mai,
    Zameen ko aage na badhne doon,
    Zamane ko nahi jaldi, mujhe toofan hai chhuna,
    Jawani ki dehleez pe abhi to kadam rakha tha maine,
    Jara se kadam kya ladkhadaye, budhapa aa gaya.

  • Gar Yakeen Hai Khud Pe

    Gar Yakeen Hai Khud Pe

    Aasman ko zameen se mila de gar yakeen hai khud pe,
    Pyase ko dariya se mila de, gar yakee hai khudpe,
    Zamana aaj hai khudgarjon ka, baimanon ka,
    Tu sambhal le khud ko gar yakee hai khudpe.

    Bari zillat sahi hai, bichhe hain har mor pe kante,
    Tu hasta hua gujarle gar yakeen hai khud pe,
    Is daur mein khai hai humne thokar kai,
    Basera karle har ek dil mein gar yakeen hai khudpe.

    Nigahon par parde, julm ki aandhi si chhai hai,
    Karde ujala apne ilm ki raushni se gar yakeen hai khudpe,
    Tu likh to raha hai ye apni falsafa aye Hassaan !
    Ise dusro ke dil mein basa de gar yakeen hai khudpe.

  • Tanha Rehna Sikh Raha Hoon

    Tanha Rehna Sikh Raha Hoon

    Tanha rehna sikh raha hoon,
    Mar kar jeena sikh raha hoon,
    Paa kar khona sikh liya hai,
    khokar pana sikh raha hoon.

    Sabar ko apni rah bana kar,
    Kanton par chalna sikh raha hoon,
    Aakhon mein bhar ke gam ke moti,
    Pyas ko peena sikh raha hoon,
    Jeene ke hain ajeeb takaze;
    Zinda rehna sikh raha hoon.