Tag: Love Shayari

  • Aaj Mai Khush Hoon

    Aaj Mai Khush Hoon

    Aaj mai khush hoon, kyunki hasna mujhe aaya hai,
    Ghut ghut kar rehne ke bad jeena mujhe aaya hai,
    jise sirkast khwabon mein hua karti thi,
    Aaj vo samne mere nazar ke samne aaya hai,
    Bade din bad is dil-e-bahar mein,
    sukoon ka mausam mere dil par chhaya hai,

    Lekin darr lagta hai, pareshan to mai ab bhi hoon
    Na jane vo kya sochta hoga, socj kar dil ghabraya hai,
    Na jane kitne sawal uske zehen me aaya hoga,
    Magar har sawal ke bad vo muskuraya hoga,

    Muskurahat aisi ki, darkan bhi kuch pal bewafa ho jaye,
    Aankhein patthar si ho bas use dekhti reh jaye,
    Jubaan pe alfaaz aate aate, honton tak pighal jaye,
    lamha haseen ho jaye, ye Zehen mein har dum aaya hai.

  • Kehte Hain Har Baat Jubaan Se

    Kehte Hain Har Baat Jubaan Se

    Kehte Hain Har Baat Jubaan Se

    Hum Ishara Nahi Karte,

    Aasman Par Chalne Wale

    Zamin Se Gujara Nahi Karte,

    Har Halat Ko Badlne Ki

    Himmat Hai Hum Mein,

    Waqt Ka Har Faisla Hum

    Ganwara Nahi Karte.

    कहते है हर बात जुबां से हम इशारा नहीं करते,
    आसमान पर चलने वाले जमीं से गुज़ारा नहीं करते,
    हर हालात को बदलने की हिम्मत है हम में,
    वक़्त का हर फैसला हम गंवारा नहीं करते।

    Read More Shayari: Teri Mohabbat Mein

  • Teri Mohabbat Mein

    Teri Mohabbat Mein

    Teri Mohabbat Mein,

    Aur Meri Fhitrat Mein,

    Bas Fhark Hai Itna.

    Tera Attitude Nahi Jata,

    Aur Mujhe Jhukna Nahi Aata.

    Read More Shayari: Kyun Teri Yaad

  • Kyun Teri Yaad

    Kyun Teri Yaad

    Kyun Teri Yaad

    Hume Satane Aayi,

    Kyun Haq Chahat Ka

    Jatane Aayi,

    Bhulna Chahte Hain

    Hum Jin Kasmo Ko,

    Kyun Un Kasmo Ko

    Nibhane Aayi.

    Read More Shayari: Tujhe Bhool Kar Bhi

  • Tujhe Bhool Kar Bhi

    Tujhe Bhool Kar Bhi

    Tujhe Bhool Kar Bhi

    Na Bhool Payenge Hum,

    Bas Yahi Ek Wada

    Nibha Payenge Hum,

    Mita Denge Khud Ko Bhi

    Jahan Se Lekin,

    Tera Naam Dil Se

    Na Mita Payenge Hum.

    Read More Shayari: Jinki Yaad Mein Hum

  • Jinki Yaad Mein Hum

    Jinki Yaad Mein Hum

    Jinki yaad mein hum

    Dewane ho gaye,

    Wo hum hi se

    Begaane ho gaye,

    Shayad unhe talash hai

    Ab naye dost ki,

    Kyunki unki nazar me ab

    Hum purane ho gaye.

    Read More Shayari: Tera Saath Hai Toh

  • Tera Saath Hai Toh

    Tera Saath Hai Toh

    Tera saath hai toh mujhe kya kami hai,

    Teri har muskan se mili mujhe kushi hai,

    Muskuraate rehna isi tarah humesha,

    Kyonki teri is muskan mein meri jaan basi hai.

    Read More Shayari: Nazar Chahti Hai Deedar

  • Nazar Chahti Hai Deedar

    Nazar Chahti Hai Deedar

    Nazar Chahti Hai Deedar Karna,

    Dil Chahta Hai Pyaar Karna,

    Kya Bataoon Is Dil Ka Aalam,

    Nasib Me Likha Hai Intezar Karna.

    Read More Shayari: Jab Bhi Dekhta Hu

  • Jab Bhi Dekhta Hu

    Jab Bhi Dekhta Hu

    Jab bhi dekhta hu tumhe,

    Lagta hai ye din naya hai,

    Nigahein tumko dekhna chahti hai,

    Mere dilko ye kya hua hai.

    Read More Shayari: Na Koi Kisi Se

  • Na Koi Kisi Se

    Na Koi Kisi Se

    Na koi kisi se door hota hai,

    Na koi kisi ke krib hota hai,

    Wo khud he chal ke aata hai,

    Jo jiska nasib hota hai.

    Read More Shayari: Sir Jhukane Ki Aadat