Tag: Life quotes

  • घर से दूर मैं….

    घर से दूर मैं….

    घर से दूर मैं आसमा नापने निकला
    पर एक घोसला हर शाम याद आता है।

  • ये ज़िन्दगी…..

    ये ज़िन्दगी…..

    ये ज़िन्दगी हमसे कुछ खफा खफा है
    कौन सी ये अदा इसकी पहली दफा है।  

  • Hazaron Rang Ke Gardish Mein Taare Chamak Rahe

    Hazaron Rang Ke Gardish Mein Taare Chamak Rahe

    Hazaron rang ke gardish mein taare chamak rahe,
    Ek tara tu bhi ban aur is zameen ko roshan karde,
    Yu to chamakti hai reet bhi roshni ki god mein aakar,
    Tu vo roshni ban ke sabke gharon ko roshan karde!!
    Nafrat bhar rakhi hai har kafir ne apne dil mein,
    Tu imaan ki roshni se unke dilon ko roshan karde!!

  • Fakr Hota Hai Unhe

    Fakr Hota Hai Unhe

    Fakr hota hai unhe apni har ek parvaan pe,
    Vo jo na rakhte khabar apne agaaz aur anjam pe,
    Bekhabar logon ko khaa jate hain hadse aksar,
    Kaan to rakhna samajhdari hogi waqt ki awaz pe.

  • Nibhae Rishte Ki Bewajah Apne Mila Nahi Karte

    Nibhae Rishte Ki Bewajah Apne Mila Nahi Karte

    Nibhae rishte ki bewajah Apne mila nahi karte,
    Nasihatein milti bohot, madad sahi nahi milte,
    Kuch soch kar likha tha ye fasana humne,
    Kuch jumle purane the badal dale humne,

    Khuli aankhon mein khwab the, sambhal na saki,
    Aankhein band hui to Manzil bhut door thi,
    Phir jakar kahin samajh aaya is naadan ko,
    Sirf sapne dekhne se manzil mila nahi karte.

  • Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor dikhate hai Kam aise karishme hone ko

    Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor dikhate hai Kam aise karishme hone ko

    Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor,

    Dikhate hai Kam aise karishme hone ko,

    Mil jaye koi wafadaar iss daur mein,

    Daulat vahi hai sabse badi khone ko.

    Bhoolakar mohobbat lhush hai koi,

    Toh khoon-e-ashq rota hai,

    Ussi ke hone ko.

    Jiteji nahi Hui qadar ,

    Aur kataaro mein khade hai,

    Kafan mein chehra dekhne ko.

    Zeher see lehzaa rakh Kar puchte hai,

    Kya baat Hui Jo anjaam aaya rone ko?

    Na mitana makaam-e-mohobbat kabhi,

    Umar beet jati hai,

    Dil mein makaan hone ko.

    Gairat mein na chhod Dena ,

    Kabhi kisi ka sath,

    Kya khabar uske paas kuch bacha hi na ho,

    Tere Siva khone ko.

  • Yeh hasta hua chehra

    Yeh hasta hua chehra

    Yeh hasta hua chehra,

    Toh bas dikhane bharka hai,

    Pareshaan toh yaha har shaqs,

    Zamane bhar ka hai.

  • Mushkile toh sabki hi Zindagi mein hoti hai

    Mushkile toh sabki hi Zindagi mein hoti hai

    Mushkile toh sabki hi zindagi mein hoti hai,

    Fark sirf itna hota hai ki koi uss waqt mein rota hai,

    Aur koi uska saamna karke apni Zindagi ko Gulzar bana deta hai.

  • Sapne dekhna haq hai tumhara

    Sapne dekhna haq hai tumhara

    Sapne dekhna haq hai tumhara,

    Unko Sach Karna junoon hai tumhara,

    Mat suno unki Jo kehte hai tum kisi se kam ho,

    Apni manzil ko paana jazba hai tumhara.

  • Mujhe azaad hona hai

    Mujhe azaad hona hai

    Mujhe azaad hona hai,

    Mujhe khush rehna hai,

    Mujhe kamyaab hona hai,

    Mujhe Zindagi ko jeena hai.