Tag: Heart

  • Taaro see thodi chaandani churakar sajalo apna aaj

    Taaro see thodi chaandani churakar sajalo apna aaj

    Taaro see thodi chaandani churakar,

    Saja lo apna aaj.

    Yeh hunar sab mein hai,

    Bas chaatna hai,

    Vo jaduyi chirag.

    Tatol Kar Mann ko,

    Karo ek Madhuri dhun tayaar,

    Dekho fir kaise na aayegi jhumti Bahar.

    Yeh hunar Jo mujh mein hai,

    Dekha hai kisi ko gham mein muskurate hue,

    Kisi ki nam aankhon mein,

    Suraj Uday hote hue.

    Yeh hunar tum bhi seekhlo yaar,

    Jab chaa Jaye badal ghane,

    Toh karlo thoda intezaar.

    Khuddari nahi hai kismat ki mohtaj,

    Par Safar mein zaruri hai kabhi kabhi,

    Manzil par karlena thoda vishwaas.

  • Khol do darwaaze Dil ke

    Khol do darwaaze Dil ke

    Khol do darwaaze Dil ke ki chain aa jaye,

    Intezaar kiya hai iss qadar tumhara,

    Kabhi toh baat ban jaye.