Tag: Dard Shayari Quotes

  • Aksar Aam Ho Jate Hain

    Aksar Aam Ho Jate Hain

    Aksar aam ho jate hain kuch paigam,
    Vo jo kisi ko yaad nahi rehte,
    Hum bhi sochte hain kabhi likhne ko,
    kuch to hai jo sare aam nahi likhte.

    Kya likhun kiske liye likhun,
    makhluuk jo ab ashraful na rahe,
    Ya vo kaum jo jahiliyat ki rah pe chal pade,
    Paigaam kya mai unke liye likhun.

  • Mere Firaaq Ke Lamhe Shumaar Karte Huye

    Mere Firaaq Ke Lamhe Shumaar Karte Huye

    Mere firaaq ke lamhe shumaar karte huye,

    Bikhar gaye hain Mera intezar karte huye,

    Main ne kaha samandar hain mari ankhon mein,

    Woh inn mein doob gaya aitebaar karte hue..

    Read More Shayari

     

  • Jab Mujhse Mohabat Hi Nahi Toh Rokte Kyu Ho

    Jab Mujhse Mohabat Hi Nahi Toh Rokte Kyu Ho

    Jab mujhse Mohabat hi nahi toh rokte kyu ho
    Tanhayi mein mere baare mein sochte kyu ho

    Jab manjile hi juda hai toh jane do mujhe
    Lot ke kab aaoge ye puchte kyun ho….

    Zakhm laga kar mere Dil pe badi sadagi se
    Mere zakhmi Dil ka haal puchte kyun ho….

    Thukra kar meri Mohabbat ko es tarah……..
    Palat palat kar Pyar se dekhte kyun ho…….
  • फलसफा समझो न असरारे सियासत समझो,आज तो साँस भी लेते हो ग़नीमत समझो

    फलसफा समझो न असरारे सियासत समझो,आज तो साँस भी लेते हो ग़नीमत समझो

    फलसफा समझो न असरारे सियासत समझो,

    जिन्दगी सिर्फ हकीक़त है हकीक़त समझो,

    जाने किस दिन हो हवायें भी नीलाम यहाँ,

    आज तो साँस भी लेते हो ग़नीमत समझो।

  • Meri cheekhe bhi nahi rok payi vo dard

    Meri cheekhe bhi nahi rok payi vo dard

    Meri cheekhe bhi nahi rok payi,

    Vo dard Jo mujhe mila.

    Koi marham Tak nahi bana tha,

    Uss zakhm ke lye Jo mujhe Mila.

    Dekar mujhe jeene ki saza,

    Vo laut Gaya apni duniya mein,

    Hazaar koshishe ki dhoondne ki,

    Par kahi nahi mila.

    Buht see sawal bandh hai,

    Aankhon mein Meri.

    Yahi Bata Dena ki,

    Kusoor Kya tha Mera.

    Ab chahe bhi toh,

    Kuch nahi Kar sakte.

    Ab kismat se na hi,

    Koi shikwa hai,

    Na hi koi gila.

     

  • Taaro see thodi chaandani churakar sajalo apna aaj

    Taaro see thodi chaandani churakar sajalo apna aaj

    Taaro see thodi chaandani churakar,

    Saja lo apna aaj.

    Yeh hunar sab mein hai,

    Bas chaatna hai,

    Vo jaduyi chirag.

    Tatol Kar Mann ko,

    Karo ek Madhuri dhun tayaar,

    Dekho fir kaise na aayegi jhumti Bahar.

    Yeh hunar Jo mujh mein hai,

    Dekha hai kisi ko gham mein muskurate hue,

    Kisi ki nam aankhon mein,

    Suraj Uday hote hue.

    Yeh hunar tum bhi seekhlo yaar,

    Jab chaa Jaye badal ghane,

    Toh karlo thoda intezaar.

    Khuddari nahi hai kismat ki mohtaj,

    Par Safar mein zaruri hai kabhi kabhi,

    Manzil par karlena thoda vishwaas.

  • Doobta hai toh doob Jane do kusoor Kya hai kashti ka

    Doobta hai toh doob Jane do kusoor Kya hai kashti ka

    Doobta hai toh doob Jane do,

    Kya kusoor hai kashti ka?

    Haal Kya hai koi jaane hai Kya,

    Meri basti ka.

    Muskurao bhi agar ,

    Dil pe dastak koi tanhayee hai.

    Hisaab hai Kya,

    Ya koi andaaza Meri hasti ka.

    Khud see furkat hai ya fursat hai,

    Nasaaz man lekar,

    Dhal Chuka hai vo din,

    Vo umar Jo masti ka.

    Aag hi aag ki lapte hai,

    Ab ke aagosh mein,

    Mat puch ke Kya mila hai,

    Sila Dil parasti ka.

    Sabr hota nahi hai aksar,

    Badi hi aafat hai,

    Main hi hissa hu ,

    Unke gunaho ki gashti ka.

    Kuch lakeere hai mere hath pe,

    Sath rehta hur dum,

    Naam Kya rakhu are dost,

    Meri iss dasti ka.

  • Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor dikhate hai Kam aise karishme hone ko

    Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor dikhate hai Kam aise karishme hone ko

    Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor,

    Dikhate hai Kam aise karishme hone ko,

    Mil jaye koi wafadaar iss daur mein,

    Daulat vahi hai sabse badi khone ko.

    Bhoolakar mohobbat lhush hai koi,

    Toh khoon-e-ashq rota hai,

    Ussi ke hone ko.

    Jiteji nahi Hui qadar ,

    Aur kataaro mein khade hai,

    Kafan mein chehra dekhne ko.

    Zeher see lehzaa rakh Kar puchte hai,

    Kya baat Hui Jo anjaam aaya rone ko?

    Na mitana makaam-e-mohobbat kabhi,

    Umar beet jati hai,

    Dil mein makaan hone ko.

    Gairat mein na chhod Dena ,

    Kabhi kisi ka sath,

    Kya khabar uske paas kuch bacha hi na ho,

    Tere Siva khone ko.

  • Zindagi ne kab hum par rehem kiya

    Zindagi ne kab hum par rehem kiya

    Zindagi ne kab hum par rehem kiya,

    Jab gumsum the,

    Tab hausla diya.

    Jab khush hue,

    Toh sab cheen liya.

    Duniya ne kab hum par rehem kiya,

    Jab upar uthe,

    Toh badguman kiya.

    Jab neeche gire,

    Toh kuchal diya.

    Dosto ne kab hum par rehem kiya,

    Jab rangeen Alam tha,

    Tab maza kiya.

    Jab zarurat padi,

    Toh dhoka diya.

    Yehi toh zindagi hai janaab,

    Isne kab hum par rehem kiya.

  • Samudra ki gehraiyon mein dhoondte rahe hum tumhe

    Samudra ki gehraiyon mein dhoondte rahe hum tumhe

    Samudra ki gehraiyon mein

    Dhoondte rahe hum tumhe,

    Tum toh kinare par the.

    Sitaron mein khojte rahe hum tumhe,

    Tum toh zameenon par the.

    Khwahishe Karte rahe tumhare,

    Tum toh khwabon mein the.

    Andhero mein pukarte rahe tumhe,

    Tum toh khud roshini the.

    Pata puchte rahe tumhara har kisi se,

    Tum toh manzil the.

    Mohobbat Karte rahe tumse,

    Tumhi toh Humsafar the.

    Aazmate rahe tum Hume,

    Hum toh tumhare gulaam the.

    Jab koi nahi tha saath,

    Tab tumhi toh aasra the.

    Khatam hone lage hum katra katra,

    Tum hi toh Mera vajood the.