Tag: Attitude Shayari

  • किस्मत यह मेरा इम्तेहान ले रही है

    किस्मत यह मेरा इम्तेहान ले रही है

    किस्मत यह मेरा इम्तेहान ले रही है
    तड़पकर यह मुझे दर्द दे रही है
    दिल से कभी भी मैंने उसे दूर नहीं किया
    फिर क्यों बेवफाई का वह इलज़ाम दे रही है

  • Mana Ki Naseeb Mein Mere

    Mana Ki Naseeb Mein Mere

    Mana ki naseeb mein mere koi sanam nahi,
    Fir bhi koi shikwaa koi gam nahi,
    Tanha the aur tanhaa jiye jaa rahe hain,
    Badnaseeb to wo hain jinke naseeb me hum nahi.

  • Gar Yakeen Hai Khud Pe

    Gar Yakeen Hai Khud Pe

    Aasman ko zameen se mila de gar yakeen hai khud pe,
    Pyase ko dariya se mila de, gar yakee hai khudpe,
    Zamana aaj hai khudgarjon ka, baimanon ka,
    Tu sambhal le khud ko gar yakee hai khudpe.

    Bari zillat sahi hai, bichhe hain har mor pe kante,
    Tu hasta hua gujarle gar yakeen hai khud pe,
    Is daur mein khai hai humne thokar kai,
    Basera karle har ek dil mein gar yakeen hai khudpe.

    Nigahon par parde, julm ki aandhi si chhai hai,
    Karde ujala apne ilm ki raushni se gar yakeen hai khudpe,
    Tu likh to raha hai ye apni falsafa aye Hassaan !
    Ise dusro ke dil mein basa de gar yakeen hai khudpe.

  • Aaj Mai Paida Hua Hoon Kisi Ki Aawaj Se

    Aaj Mai Paida Hua Hoon Kisi Ki Aawaj Se

    Aaj mai paida hua hoon, kisi ki aawaj se,
    Chahat mein base kuch armaano ki aas se,
    Aaj mai paida hua, khwabon ki talash se,
    Duniya mein phailae, anchahe fasad se.

    Aaj mai paida hua hoon, nakkashi kisi khas se,
    Paththar pe gheese sunhare mom ki aas se,
    Sochta hoon kya kahun apne is paigam mein,
    Vo samjh jata sab kuch mere chand alfaz se.

  • Mere Har Alfaz Dikhate Hain Aaena Tujhko

    Mere Har Alfaz Dikhate Hain Aaena Tujhko

    Mere har alfaz dikhate hain aaena tujhko,
    Jinki hoti hai neeyat jaisi, vo paate hain vaisa khudko,
    Sheher ye mera hai, yhan sab apne hai log,
    Tu apna na mane to mai kya kahun tujhko.

    Nadaan dhundhe shukoon aasman mein,
    Jo mehfil hai saji, chamakte jahan mein,
    Sheher ye mera hai, yhan sab apne hain log,
    Tu apna na mane to mai kya kahun tujhko.

  • Momeen Hai Na Tu

    Momeen Hai Na Tu

    Momeen hai na tu, to phir kyun chillata hai,
    Kyun bevajah khudka hi tamasha banata hai,
    Jo tera hai vo tujhe mil kar rahega, kyun ghabrata hai,
    Ya khudki sunle ya uski jo tujhe farishton se bhi afzal batlata hai.

  • Sun Pagli Ham To Is Kadar Pagal Hain

    Sun Pagli Ham To Is Kadar Pagal Hain

    Sun Pagli Ham To Is Kadar Pagal Hain,

    Tere Pyar Me Jab Khud Se Bhi,

    Baaten Karta Hu To,

    Tere Aur Mere Pyar Ki Baaten Karta Hu

    Read More Shayari: Zindagi Hamari Yu Sitam Ho Gayi