Nahi milta gam mohbbat mai to
Barbadi ke afsane kaha jate
Har taraf hoti khushi to yah veerane kaha jate
Achha hi hua ki tum gair nikale
Sab agar apne hote to Begane Kaha jate..
Collection of Real Shayari in Loneliness Category

Nahi milta gam mohbbat mai to
Barbadi ke afsane kaha jate
Har taraf hoti khushi to yah veerane kaha jate
Achha hi hua ki tum gair nikale
Sab agar apne hote to Begane Kaha jate..

Log kahte hai ki tu
Abhi bhi khafa hai mujhse
Teri ankho ne to
Kuch or Kaha hai mujhse

Kisi ko bhulane mai der lagti hai
Kiye huye wado ko Nibhane mai der lagti hai
Pyar to pal bhar mai ho jata hai
Par sachhe pyar ko pane mai der lgti hai

Uski Mohabbat ka silsila
Bhi kitna Ajeeb tha
Apna bhi nhi bnaya hme or
kisi Aur ka hone bhi nhi diya

Ek din tu jarur muskarayegi
Khush hogi mere sath
Jee bharake Muskarayegi
Baraso se chhupe mere pyar ko
Kash ek din tu samjh jayagi

Jindagi mai abhi udan waki hai
Har mod par imtahaan waki hai ,
Abhi too bas aap pareshan hai hamse
Abhi to puri duniya waki hai ,

Waqt hai badla, log hain badle
Rishton ke hain, ehsaas bhi badle
Lekin, dil ke us aarzoo ka kya
Jo har pal badalte lamhe, ke saath hain Tadpe
Main aaj bhi un lamho ki,
Yaadon ke,sahare jeeta hoon,
Dil ko kudhke behlane ki,
Betorr koshish karta hoon.
Ajeeb si kashish hai,
Beeten un lamho me
Aage Badh kar bhi,
Zehan wahi thehra hai.
Dil bhi jaan gaya hai,
Meri meri is Kashmakash ko,
Ab to bhi jaan kar,
Anjaan ban baitha hai.

Meri aakhon ke samandar me utarta koi
Tamaam umra rahe yahi tamannna karte
Har ek ko sunata hu haal-e-dil Khol kar
ke Shayad, koi meri deewangi ki dua karde
Jo bhi aata hai mere dil me chala jaata hai
Jaise aaseb hain mere dil me raha karte
Accha hi hua ki bach gaye baariq-e-muhabbat se
Dil lut jaata to bhal;a kya karte
Ab to ek hi iltaja hai rabbe kareem se
ki meri ruh ko is jism se riha karde
Teri aarzoo hi teri raqueeb nilki `irfaan`
Ke kuch Khwaab kabhi poore nahi hua karte.

Baadal hai bahut aur baarish bhi
Sadkon me machi hai jal thal bhi
mastaaani hawaayen behthi hain
hai raqs me saara jungle bhi
Aur Mor bhi sab par khole hai
baaghon me papiha bole hai
Koi dil ko mere phir kheeche hai
Baadal hai bahut aur baarish bhi..
Hai raqs me saara jungle bhi
lekin wo ti sab kuch baahar hai
Main yaad me khoya baitha hoon
Yahaan khushk hai mausam, Khushk hai hawaa
Dil bhi hai bahut, Tanha Tanha
Ek baar to aa jao milne
Main Asshk-e-Nadamat Barsaaun
Andar bhi bahut phir baarish ho
Yaadon ke samandar khul jaayen
Sail-e-asshk se jal thal mach jaaye
Sail-e-asshk se darya bhar jaaye
Phir shor is dil se shayad kam ho
Phir dard mera shayad kam ho…