Category: Loneliness

Collection of Real Shayari in Loneliness Category

  • Kisse Baat Karun Ki Sab Bezuban Hai

    Kisse Baat Karun Ki Sab Bezuban Hai

    Kisse baat karun ki sab bezuban hai,
    Aaj ke daur mein fariste ab anjaan hai,
    Jo tu kare vo hum kare, ye tera manna hoga,
    Apni marzi pe hum chale ye tujhe janna hoga,
    Aaj kal bheed mein bhi tanha sa mujhe kyun lagta hai,
    Apno ke bich mein bhi darr sa mujhe kyun lagta hai,
    Ek maa hai meri jiski god mein khudko mehfuz tha paya,
    Aur ek maa hai jiske naam pe faila hai dehshat ka saaya,
    Kisko samjhau , ya kisko manau, yha sab log apne hai,
    Unki nafrat se bade kuch masumo ke sapne hai.

  • Kabhi Khushi Se

    Kabhi Khushi Se

    Kabhi khushi se khushi ki

    Tarf nahi nahi dekha,

    Tumhare baad kisi ki

    Tarf nahi dekha,

    Ye soch kar ki tera

    Intzar lazim hai,

    Tamam umr ghadi ki

    Tarf nahi dekha.

    Read More Shayari: Ek Saans Bhi Puri

     

  • Ek Saans Bhi Puri

    Ek Saans Bhi Puri

    Ek saans bhi puri

    Nahi hoti,

    Tere khayalon ke

    Bina,

    Tumne ye kaise

    Socha ki,

    Hum zindagi gujar

    Denege tere bina.

    Read More Shayari: Ek Baar Karke Aitbaar

     

  • Ek Baar Karke Aitbaar

    Ek Baar Karke Aitbaar

    Ek baar karke aitbaar

    Likh do,

    Kitna hai mujhse pyar

    Likh do,

    Katti nahi ye zindagi

    Ab tere bin,

    Kina aur karu intzaar

    Likh do.

    Read More Shayari: Ek Tanha Raat Mein

  • Ek Tanha Raat Mein

    Ek Tanha Raat Mein

    Ek tanha raat mein

    Aapki yaad aayi,

    Yaad bhulane kay liye

    Humney ek mombatti jalai,

    Uff wo mombatti

    Kya kayamat laai,

    Udthe duney ne bhi

    Aapki tasvir banai.

    Read More Shayari: Jab Labon Ki Hasi

  • Yun Dur Rehkar Duriyon

    Yun Dur Rehkar Duriyon

    Yun dur rehkar duriyon ko

    Badaya nahi karte,

    Apne deewane ko

    Sataya nahi karte,

    Har waqt bas jise

    Tumhara khayal ho,

    Usey apni awaz ke

    Liye tadpya nahi karte.

    Read More Shayari: Taare Aasmaan Mein Hi

  • Taare Aasmaan Mein Hi

    Taare Aasmaan Mein Hi

    Taare aasmaan mein hi

    Chamakte hai,

    Badal itne dur hai,

    Phir bhi baraste hain,

    Hum bhi kitney ajeeb hai,

    Tum dil mein rahtey ho,

    Aur hum tumse Milne

    Ko taraste hai.

    Read More Shayari: Palkon Ko Jab-Jab

  • Haal Apna Tumhey Batana Kya

    Haal Apna Tumhey Batana Kya

    Haal apna tumhey batana kya,

    Cheer kay dil tymhey dikhana kya,

    Wahi rona hai sada ka ab bhi,

    Dastann phir wohi dohrana kya,

    Bekarari hi hai judai mein,

    Gum ki baatein tumhey sunna kya,

    Meri chuppi mein teri mohbbbat hai,

    Bewajah hoton ko hilana kya.

    Read More Shayari: Jo Teer Bhi Aata Wo Khaali Nahi Jata

     

     

  • Tu To Wada Kar Kay Bhi Mukar Jati Hai

    Tu To Wada Kar Kay Bhi Mukar Jati Hai

    Tu to wada kar kay bhi mukar jati hai,

    Teri yaad badi bholi hai chali aati hai,

    Din to jaisay tesay gujar hi jata hai,

    Raat berahm aati hai sitam dhaati hai,

    Ek aainey sa aasmaan mein tanga chaand,

    Tasveer ismein bhi teri hi nazar aati hai,

    Ithalaati shamma sa mukaddar tere hissay,

    Parvaney si kismat roj mujhey jalati hai.

    Read More Shayari: Kuch hans kar bol diya karo

  • Kuch hans kar bol diya karo

    Kuch hans kar bol diya karo

    Kuch hans kar bol diya karo,

    Kuch hans kar tall diya karo,

    Youn to bahut pareshaniyan hai,

    Tumko bhi mujhko bhi,

    Magar kuch faisley waqt par dal diya karo,

    Na janey kal koi hasaney wala miley na miley,

    Isliye aaj hi hasrat nikaal liya karo.

    Read More Shayari: Anjaam kee paravaah hotee to