Sachche kisse sharaab khaane mein sune,
Wo bhi hath me jaam lekar…!
Jhoothe kisse adaalat mein sune,
Wo bhi hath me Geeta-kuraan lekar….!!!
Collection of Real Shayari in life Category

Sachche kisse sharaab khaane mein sune,
Wo bhi hath me jaam lekar…!
Jhoothe kisse adaalat mein sune,
Wo bhi hath me Geeta-kuraan lekar….!!!

Har Baat Ka Koi Jawab Nahi Hota,
Har Ishq Ka Koi Naam Nahi Hota..
Yun To Jhum Lete Hai Nashe Me Peene Wale
Magar, Har Nashe Ka Name Sharab Nahi Hota…

Mere Dil Ki Sarhad Par Na karna,
Najuk hai mera dil war na Karna…
Khud Se badhkar Bharosa he Aap Par,
Is Bharose ko Sarmsar Na karna…!!!

Saara Jahan Usi ka hai Jo muskarana janta hai
Roshani bhi usi ki hai Jo Shama jalana janta hai
Har jagah mandir masjid gurudware hai
Lekin bhagwan to bas usi ka hai Jo Maa baap ki seva karna janta hai

Naa Jaane Wo kon tera Habib Hoga
Tere Hatho Me Jiska Nasib Hoga
Koi Tumhe chahe yeh Koi Badi baat nahi
Lekin tum jise Chaho wo khushnasib hoga

Kuch Kahaniya Akasar adhuri rah jaati hai.
Kabhi panne kam pad jaate hai
Kabhi Syahi sukh jaati hai

Ham tumhe Pakar Khona nahi chahate
Judayi me aapki Rona nahi chahate
Aaap hmesha rahna hmara pyar bankar
Ham bhi kisi or ke hona nahi chahate

Dil ki kitaab me Gulaab unka tha
Raat ki nind me wo khwab unka tha
Hain Kitna pyar hmase yah pucha jab hamne
mar jaynge win tere Yah jawab unka tha

Aankhe To Pyar Mein Dil Ki Jawan Hoti Hai
Chahat To Sadaa Bejuban Hoti Hai
Mile Agar Pyar Me Dard To Kya Ghabarana
Suna Hai Dard Se Chahat Or Jawan Hoti Hai

Jindagi bhar khud ke sath raha
Aur dil kaa haal naa jaana
Basti Basti fira man banjara
Apna hi ghar nahi pahchana
Mujhko Ab aawaj naa do
Beeti huyi kahaani ke kirdaro
Shaam dhale ghar aaya to mujhko
To mujhko mera hi darpan nhi pahchana