Momeen hai na tu, to phir kyun chillata hai,
Kyun bevajah khudka hi tamasha banata hai,
Jo tera hai vo tujhe mil kar rahega, kyun ghabrata hai,
Ya khudki sunle ya uski jo tujhe farishton se bhi afzal batlata hai.
Category: Attitude Shayari
-

Momeen Hai Na Tu
-

Baagi Mat Ban Tu
Baagi mat ban tu is samaj mein aye nadaan,
Ye tera ghar hi to hai , isse kyun hai tu anjaan,
Kisi shaakh pe koi ullu to kya vo uska ghar hoga,
Parinde hai udd jaenge subah saadik se pehle.Tu chal tujhe dikhlau kitni bheed hai is mehfil mein,
Bas afsos hai ke “aawaz” hai, lekin sabke dil mein,
Mujhe na darr hai na khauf hai kyuki mai “zinda” hoon,
bas gam hai ki kuch na kar pane par sharminda hoon.Tu kyun ghut kar mar raha, kyun jal raha,
kuch jaalimon ke hath ka putla ban raha,
na rakh koi bair apne dlil mein apno ke liye,
milkar roke jo ye jamana jal raha. -

Bohot Seh Liye
Bohot seh liye dard-e-dil ka haal humne,
Aao ab use hum bhula kar to dekhein,
Bohot baha liye aansu is gum mein humne,
Aao aaj sath mil kar muskura kar to dekhein.Bohot rangeen hai ye duniya, na jane kitne rang hai isme,
Aao hum bhi kuch rang laga kar to dekhein,
Baharon ke rango se bhar lo jholi apni,
Chalo ek bar phir se muskura kar to dekhein. -

Kehte Hain Har Baat Jubaan Se
Kehte Hain Har Baat Jubaan Se
Hum Ishara Nahi Karte,
Aasman Par Chalne Wale
Zamin Se Gujara Nahi Karte,
Har Halat Ko Badlne Ki
Himmat Hai Hum Mein,
Waqt Ka Har Faisla Hum
Ganwara Nahi Karte.
कहते है हर बात जुबां से हम इशारा नहीं करते,
आसमान पर चलने वाले जमीं से गुज़ारा नहीं करते,
हर हालात को बदलने की हिम्मत है हम में,
वक़्त का हर फैसला हम गंवारा नहीं करते।Read More Shayari: Teri Mohabbat Mein
-

Teri Mohabbat Mein
Teri Mohabbat Mein,
Aur Meri Fhitrat Mein,
Bas Fhark Hai Itna.
Tera Attitude Nahi Jata,
Aur Mujhe Jhukna Nahi Aata.
Read More Shayari: Kyun Teri Yaad
-

Abhi Suraj Nahi Dooba
Abhi suraj nahi dooba
Jara si shaam hone do,
Main khud laut jaunga
Mujhe naakam to hone do,
Mujhe badnaam karne ka
Bahana dhunta hai jamana,
Main khud ho jaunga badnaam
Pahele mera naam to hone do.
Read More Shyari: Attitude To Apna Bhi
-

Attitude To Apna Bhi
Attitude to apna bhi khandaani hai,
Aur tu mere dil ki rani hai,
Isliye kah raha hun maan ja,
Kyonki apni to karodon diwani hai.
Read More Shayari: Meri Kahani Adhuri Hi
-

Anjaam kee paravaah hotee to
Anjaam kee paravaah hotee to,
Hum mohabbat karna chhod dete,
Mohabbat mein to jidd hotee hai,
Aur jidd ke bade pakke hain hum!
Read More Shayari: Aap humsey hum aapsey pyar patey rahey
-

Sun Pagli Ham To Is Kadar Pagal Hain
Sun Pagli Ham To Is Kadar Pagal Hain,
Tere Pyar Me Jab Khud Se Bhi,
Baaten Karta Hu To,
Tere Aur Mere Pyar Ki Baaten Karta HuRead More Shayari: Zindagi Hamari Yu Sitam Ho Gayi