Author: admin

  • Mai Bolte Bolte Chup Ho Jata Hoon

    Mai Bolte Bolte Chup Ho Jata Hoon

    Mai bolte bolte chup ho jata hoon aye logon,
    meri niyat ko bhi tu kahin bagavat na man le,
    Mai to teri khushi ke liye bhi kurban ho jaun,
    bas ek bar dil se tu hume apni hi parchhai man le.

  • Chor Bhi Unka, Kotwal Bhi Unka

    Chor Bhi Unka, Kotwal Bhi Unka

    Chor bhi unka, kotwal bhi unka,
    Hum Ram Raheem me uljhe rahe,
    lehre to bahut si aai, har daur me aksar,
    hum to bas mazhab ki leher mein behte rahe.

  • In haseen aakhon ko

    In haseen aakhon ko

    Na chhipaya karo chasmon se in haseen aankhon ko,
    Sab barf ke moti hain, pighal jaenge inke samne,
    Aane do is sab-e-noor pe suraj ki roshni ko,
    dekhte kitna raham khati hai teri ye katil nigahein.

  • Fakr Hota Hai Unhe

    Fakr Hota Hai Unhe

    Fakr hota hai unhe apni har ek parvaan pe,
    Vo jo na rakhte khabar apne agaaz aur anjam pe,
    Bekhabar logon ko khaa jate hain hadse aksar,
    Kaan to rakhna samajhdari hogi waqt ki awaz pe.

  • Kahin Chilman Ka Afsana

    Kahin Chilman Ka Afsana

    Kahin chilman ka afsana, kahin chilman mein baithi tu,
    Nigahon mein tera saya, basi hai un mein tu,
    Labon pe hai naam tera, hai pyar ye mera deewana,
    Sine mein jo dhadakta dil, har dhadkan mein basi hai tu,

    Tujhse milkar mukkammal paya ishq maine apna,
    Ishq mera, sahil mere mohabbat ke dariya ka tu,
    Tujhe dekh kar aksar mai, gam bhula ker hansta hu,
    Tujhko manu mai afsana, ya tujhko naam Haqeekat du.

  • Gar Yakeen Hai Khud Pe

    Gar Yakeen Hai Khud Pe

    Aasman ko zameen se mila de gar yakeen hai khud pe,
    Pyase ko dariya se mila de, gar yakee hai khudpe,
    Zamana aaj hai khudgarjon ka, baimanon ka,
    Tu sambhal le khud ko gar yakee hai khudpe.

    Bari zillat sahi hai, bichhe hain har mor pe kante,
    Tu hasta hua gujarle gar yakeen hai khud pe,
    Is daur mein khai hai humne thokar kai,
    Basera karle har ek dil mein gar yakeen hai khudpe.

    Nigahon par parde, julm ki aandhi si chhai hai,
    Karde ujala apne ilm ki raushni se gar yakeen hai khudpe,
    Tu likh to raha hai ye apni falsafa aye Hassaan !
    Ise dusro ke dil mein basa de gar yakeen hai khudpe.

  • Vo Dard The Shukoon The

    Vo Dard The Shukoon The

    Vo dard the shukoon the tanhai mein hamsafar the mere,
    saaye ki tarah sath the,zehan me perchhai sa mere,
    Aaj dil tuta to tarap ne puchha humse, kya ab bhi sath hai vo tere,
    muskura kar jo palte, aansu bankar ankhon mein the vo mere.

  • Chalo Aaj Door Kahin Chalte Hain

    Chalo Aaj Door Kahin Chalte Hain

    Chalo aaj door kahin chalte hain, kisi duniya mein nayi,
    Jahan yaadon ke samundar jharne se milte hai kahin,
    Baarish ki bundon ko sheep sajaa baitha hai jahan,
    Ya jahan os ki bundon mein rang nazar aate hain kai.

    Bhavre aate geet gate aaye phulon ko satane akele,
    Ya jugnu aaye hain fizaon ko jagmagane wahin,
    Door us unchi chattanon ko dekho,
    Vahan se aai in hawaon mein jhum jao kahin,
    Barf se dhaki un chadaron ko dekho,
    Sone si chamakti in daliyon preet nayi.

    Ye dhun badi suhani, bahut hi gazab hai,
    Har lafz jiska bada hi besabab hai,
    Ye kahani jo aksar zuban pe thi basi mere,
    Ye sapno ki duniya meri bahut hi ajab hai.

  • Aaj Bahut Din Baad Socha ki Kuch Likhun

    Aaj Bahut Din Baad Socha ki Kuch Likhun

    Aaj bahut din bad socha ki kuch likhun,
    Kya likhun ki ab to hathon par nami si aai hai,
    Vo syahi jo kagaz pe roshni beekherti thi,
    Mere jehan-o-saku pe phail si aai hai.

    Koshish kiye hazaar par na hua mukammal,
    Dastaan-e-ishq humari yu bankar samne aai hai,
    ye hatash mann nahi mera jo dastak de raha hai dar pe,
    Waqt ki kami hai jo humare rishton pe phail aai hai.

  • Ek Tabbassum Si Chamak Thi Teri Aankhon Mein

    Ek Tabbassum Si Chamak Thi Teri Aankhon Mein

    Ek tabbassum si chamak thi teri aankhon mein,
    ki tujhe us samundar ka kinara na mila,
    mehfil sazi thi, bahut log the vahan,
    lekin us bheed mein bhi apno ka sahara na mila.

    Wo ek khat jo tune kabhi likha hi nahi,
    Mai roz baith ke uska jawab likhta hoon,
    Gar ke likhe the humne bhi do char khat tere liye,
    lekin kya karein behti fizaon ko ghar apka na mila.