Bas-ki dushvār hai har kaam kā āsāñ honā
Aadmī ko bhī mayassar nahīñ insāñ honā
Girya chāhe hai ḳharābī mire kāshāne kī
Dar o dīvār se Tapke hai bayābāñ honā
Vā-e-dīvāngi-e-shauq ki har dam mujh ko
Aap jaanā udhar aur aap hī hairāñ honā
Jalva az-bas-ki taqāzā-e-nigah kartā hai
Jauhar-e-ā.ina bhī chāhe hai mizhgāñ honā
Ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchh
Id-e-nazzāra hai shamshīr kā uryāñ honā
Le ga.e ḳhaak meñ ham dāġh-e-tamannā-e-nashāt
Tū ho aur aap ba-sad-rañg-e-gulistāñ honā
Ishrat-e-pāra-e-dil zaḳhm-e-tamannā khānā
Lazzat-e-rīsh-e-jigar ġharq-e-namak-dāñ honā
Kī mire qatl ke ba.ad us ne jafā se tauba
Haa.e us zūd-pashīmāñ kā pashemāñ honā
Haif us chaar girah kapḌe kī qismat ‘ġhālib’
Jis kī qismat meñ ho āshiq kā garebāñ honā