Baaġh pā kar ḳhafaqānī ye Darātā hai mujhe
Sāya-e-shāḳh-e-gul af.ī Nazar aatā hai mujhe
Jauhar-e-teġh ba-sar-chashma-e-dīgar mālūm
Huuñ maiñ vo sabza ki zahrāb ugātā hai mujhe
Mudda.ā mahv-e-tamāshā-e-shikast-e-Dil hai
Aaina-ḳhāna meñ koī liye jaatā hai mujhe
Nanala sarmāya-e-yak-Alam o Aalam kaf-e-ḳhāk
Asmāñ baiza-e-quamrī Nazar aatā hai mujhe
Zindagī meñ to vo mahfil se uthā dete the
Dekhūñ ab mar ga.e par kaun uthātā hai mujhe
Baaġh tujh bin gul-e-nargis se Darātā hai mujhe
Chāhūñ gar sair-e-chaman Aañkh dikhātā hai mujhe
Shor-e-timsāl hai kis Rashk-e-Chaman kā yā rab
Aa.ina baiza-e-bulbul Nazar aatā hai mujhe
Hairat-e-ā.ina anjām-e-junūñ huuñ jyuuñ sham.a
Kis qadar dāġh-e-Jigar Shola uThātā hai mujhe
Maiñ huuñ aur hairat-e-jāved magar zauq-e-ḳhayāl
Ba-fusūn-e-nigah-e-nāz satātā hai mujhe
Hairat-e-fikr-e-suḳhan sāz-e-salāmat hai ‘asad’
Dil pas-e-zānū-e-Aā.īna biThātā hai mujhe…