Az-Mehr Tā-Ba-Zarra Dil-O-Dil Hai Aaina
Tuutī ko shash-jihat se muqābil hai Aaina
Hairat hujūm-e-lazzat-e-ġhaltānī-e-Tapish
Sīmāb-e-bālish o kamar-e-dil hai Aaina
Ghaflat ba-bāl-e-jauhar-e-shamshīr par-fishāñ
Yaañ pusht-e-chashm-e-shoḳhī-e-qātil hai Aaina
Hairat-nigāh-e-barq-e-tamāshā bahār-e-shoḳh
Dar-parda-e-havā par-e-bismil hai Aaina
Yaañ rah ga.e haiñ nāḳhun-e-tadbīr TuuT kar
Jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai Aaina
Ham-zānū-e-ta.ammul o ham-jalva-gāh-e-gul
Aaīna-band ḳhalvat-o-mahfil hai aa.ina
Dil kār-gāh-e-fikr o ‘asad’ be-navā-e-dil
Yaañ sañg-e-āstāna-e-‘bedil’ hai Aaina
can someone translate this please