Arz-e-nāz-e-shoḳhi-e-dandāñ barā.e-ḳhanda hai
Dāvā-e-jamiyat-e-ahbāb jā-e-ḳhanda hai
Hai adam meñ ġhuncha mahv-e-ibrat-e-anjām-e-gul
Yak-jahāñ zaanū ta.ammul dar-qafā-e-ḳhanda hai
आप इस शायरी को भी पढ़ना चाहोगे: Shikwe Ke Nam Se Be-Mehr Khafa Hota Hai
Kulfat-e-afsurdagī ko aish-e-betābī harām
Varna dandāñ dar dil afshurdan binā-e-ḳhanda hai
Shorish-e-bātin ke haiñ ahbāb munkir varna yaañ
Dil muhīt-e-girya o lab āshnā-e-ḳhanda hai
Khud-faroshī-hā-e-hastī bas-ki jā-e-ḳhanda hai
Har shikast-e-qīmat-e-dil meñ sadā-e-ḳhanda hai
Naqsh-e-ibrat dar nazar yā naqd-e-ishrat dar bisāt
Do-jahāñ vus.at ba-qadr-e-yak-fa.zā-e-ḳhanda hai
Jā-e-istihzā hai ishrat-koshi-e-hastī ‘asad’
Sub.h o shabnam fursat-e-nashv-o-numā-e-ḳhanda hai