Chal nikaltī haiñ ġham-e-yār se bāteñ kyā kyā
Ham ne bhī kiiñ dar-o-dīvār se bāteñ kyā kyā
Baat ban aa.ī hai phir se ki mire baare meñ
Us ne pūchhīñ mire ġham-ḳhvār se bāteñ kyā kyā
Log lab-basta agar hoñ to nikal aatī haiñ
Chup ke pairāya-e-iz.hār se bāteñ kyā kyā
Kisī saudā.ī kā qissa kisī harjā.ī kī baat
Log le aate haiñ bāzār se bāteñ kyā kyā
Ham ne bhī dast-shanāsī ke bahāne kī haiñ
Haath meñ haath liye pyaar se bāteñ kyā kyā
Kis ko biknā thā magar ḳhush haiñ ki is hiile se
Ho ga.iiñ apne ḳharīdār se bāteñ kyā kyā
Ham haiñ ḳhāmosh ki majbūr-e-mohabbat the ‘Farāz’
Varna mansūb haiñ sarkār se bāteñ kyā kyā