Realshayari

Ab ke ham bichhḌe to shāyad kabhī ḳhvāboñ meñ mileñ

Jis Tarah sūkhe hue ful kitāboñ meñ mileñ

 

DhūñDh ujḌe hue logoñ meñ vafā ke motī

Ye ḳhazāne tujhe mumkin hai ḳharāboñ meñ mileñ

 

Gham-e-duniyā bhī ġham-e-yār meñ shāmil kar lo

Nashsha baḌhtā hai sharābeñ jo sharāboñ meñ mileñ

 

Tū ḳhudā hai na mirā Ishq farishtoñ jaisā

Donoñ insāñ haiñ to kyuuñ itne hijāboñ meñ mileñ

Aaj ham daar pe khīñche ga.e jin bātoñ par

Kyā ajab kal vo zamāne ko nisāboñ meñ mileñ

 

Ab na vo maiñ na vo tū hai na vo maazī hai ‘farāz’

Jaise do saa.e tamannā ke sarāboñ meñ mileñ..

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *