Shikwe Ke Nam Se Be-Mehr Khafa Hota Hai

Shikve ke naam se be-mehr ḳhafā hotā hai

Ye bhī mat kah ki jo kahiye to gila hotā hai

 

Pur huuñ maiñ shikve se yuuñ raag se jaise baajā

Ik zarā chheḌiye phir dekhiye kyā hotā hai

Go samajhtā nahīñ par husn-e-talāfī dekho

Shikva-e-jaur se sargarm-e-jafā hotā hai

 

Ishq kī raah meñ hai charḳh-e-makaukab kī vo chaal

Sust-rau jaise koī ābla-pā hotā hai

 

Kyuuñ na Thahreñ hadaf-e-nāvak-e-bedād ki ham

Aap uThā laate haiñ gar tiir ḳhatā hotā hai

 

Khuub thā pahle se hote jo ham apne bad-ḳhvāh

Ki bhalā chāhte haiñ aur burā hotā hai

 

Naala jaatā thā pare arsh se merā aur ab

Lab tak aatā hai jo aisā hī rasā hotā hai

 

Khāma merā ki vo hai bār-bud-e-bazm-e-suḳhan

Shaah kī mad.h meñ yuuñ naġhma-sarā hotā hai

 

Ai shahanshāh-e-kavākib sipah-o-mehr-e-alam

Tere ikrām kā haq kis se adā hotā hai

Saat aqlīm kā hāsil jo farāham kiije

To vo lashkar kā tire nāl-e-bahā hotā hai

 

Har mahīne meñ jo ye badar se hotā hai hilāl

Astāñ par tire mah nāsiya sā hotā hai

 

Maiñ jo gustāḳh huuñ ā.īn-e-ġhazal-ḳhvānī meñ

Ye bhī terā hī karam zauq-fazā hotā hai

 

Rakhiyo ‘ġhālib’ mujhe is talḳh-navā.ī meñ muaaf

Aaj kuchh dard mire dil meñ sivā hotā hai..

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *