Jahāñ terā naqsh-e-qadam dekhte haiñ
Khayābāñ ḳhayābāñ iram dekhte haiñ
Dil-āshuftagāñ ḳhāl-e-kunj-e-dahan ke
Suvaidā meñ sair-e-adam dekhte haiñ
Tire sarv-qāmat se ik qadd-e-ādam
Qayāmat ke fitne ko kam dekhte haiñ
Tamāshā ki ai mahv-e-ā.īna-dārī
Tujhe kis tamannā se ham dekhte haiñ
Surāġh-e-taf-e-nāla le dāġh-e-dil se
Ki shab-rau kā naqsh-e-qadam dekhte haiñ
Banā kar faqīroñ kā ham bhes ‘ġhālib’
Tamāshā-e-ahl-e-karam dekhte haiñ
Kisū ko za-ḳhud rasta kam dekhte haiñ
Ki aahū ko pāband-e-ram dekhte haiñ
Khat-e-laḳht-e-dil yak-qalam dekhte haiñ
Mizha ko javāhar raqam dekhte haiñ