Jāda-e-rah ḳhur ko vaqt-e-shām hai tār-e-shuā.a
Charḳh vā kartā hai māh-e-nau se āġhosh-e-vidā.a
Sham.a se hai bazm-e-añgusht-e-tahayyur dar dahan
Sho.ala-e-āvāz-e-ḳhūbāñ par ba-hañgām-e-simā.a
Juuñ par-e-tā.ūs jauhar taḳhta mashq-e-rañg hai
Bas-ki hai vo qibla-e-ā.īna mahv-e-iḳhtirā.a
Ranjish-e-hairat-sarishtāñ sīna-sāfī peshkash
Jauhar-e-ā.īna hai yaañ gard-e-maidān-e-nazā.a
Chaar sū-e-dahr meñ bāzār-e-ġhaflat garm hai
Aql ke nuqsāñ se uThtā hai ḳhayāl-e-intifā.a
Ashnā ‘ġhālib’ nahīñ haiñ dard-e-dil ke āshnā
Varna kis ko mere afsāne kī tāb-e-istimā.a