Ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanā
Dard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
Tujh se qismat meñ mirī sūrat-e-qufl-e-abjad
Thā likhā baat ke bante hī judā ho jaanā
Dil huā kasmakash-e-chāra-e-zehmat meñ tamām
Mit gayā ghisne meñ is uqde kā vā ho jaanā
Ab jafā se bhī haiñ mahrūm ham allāh allāh
Is qadar dushman-e-arbāb-e-vafā ho jaanā
Zo.af se girya mubaddal ba-dam-e-sard huā
Bāvar aayā hameñ paanī kā havā ho jaanā
Dil se miTnā tirī añgusht-e-hinā.ī kā ḳhayāl
Ho gayā gosht se nāḳhun kā judā ho jaanā
Hai mujhe abr-e-bahārī kā baras kar khulnā
Rote rote ġham-e-furqat meñ fanā ho jaanā
Gar nahīñ nik.hat-e-gul ko tire kūche kī havas
Kyuuñ hai gard-e-rah-e-jaulān-e-sabā ho jaanā
Baḳhshe hai jalva-e-gul zauq-e-tamāshā ‘ġhālib’
Chashm ko chāhiye har rañg meñ vā ho jaanā
Tā ki tujh par khule ejāz-e-havā-e-saiqal
Dekh barsāt meñ sabz aa.ine kā ho jaanā..