Ibn-e-maryam huā kare koī
Mere dukh kī davā kare koī
Shar.a o aa.iin par madār sahī
Aise qātil kā kyā kare koī
Chaal jaise kaḌī kamān kā tiir
Dil meñ aise ke jā kare koī
Baat par vaañ zabān kaTtī hai
Vo kaheñ aur sunā kare koī
Bak rahā huuñ junūñ meñ kyā kyā kuchh
Kuchh na samjhe ḳhudā kare koī
Na suno gar burā kahe koī
Na kaho gar burā kare koī
Rok lo gar ġhalat chale koī
Baḳhsh do gar ḳhatā kare koī
Kaun hai jo nahīñ hai hājat-mand
Kis kī hājat ravā kare koī
Kyā kiyā ḳhizr ne sikandar se
Ab kise rahnumā kare koī
Jab tavaqqo.a hī uTh ga.ī ‘ġhālib’
Kyuuñ kisī kā gila kare koī..