Ajab halat hamari ho gai hai
Ye duniya ab tumhārī ho ga.ī hai
Suḳhan mera udasi hai sar-e-sham
Jo ḳhamoshi pe taari ho gai hai
Bahut hi ḳhush hai dil apne kiye par
Zamane-bhar men ḳhvari ho gai hai
Vo nazuk-lab hai ab jaane hi vaala
Miri avaz bhari ho gai hai
Dil ab duniya pe la.anat kar ki is ki
Bahut ḳhidmat-guzari ho gai hai
yaqin maazur hai ab aur guman bhi
Badi be-roz-gari ho gai hai
Vo ik bad-e-shumali-rang jo thi
Shamim us ki savari ho gai hai
Mire paas aa ke ḳhanjar bhonk de tu
Bahut neza-guzari ho gai hai