Aish-e-ummid hi se ḳhatra hai
Dil ko ab dil-dahi se ḳhatra hai
Hai kuchh aisa ki us ki jalvat meñ
Hamen apni kami se ḳhatra hai
Jis ke aġhosh ka huun divana
Us ke aġhosh hi se ḳhatra hai
Yaad ki dhuup to hai rose ki baat
Haan mujhe chañdni se ḳhatra hai
Hai ajab kuchh moamla darpesh
Aql ko agahi se ḳhatra hai
Shahr-e-ġhaddar jaan le ki tujhe
Ek amrohvi se ḳhatra hai
Hai ajab taur halat-e-girya
Ki mizha ko nami se ḳhatra hai
Haal ḳhush lucknow ka dilli ka
Bas unhen ‘mushafi’ se ḳhatra hai
Asmanon men hai ḳhuda tanha
Aur har aadmi se ḳhatra hai
Main kahun kis tarah ye baat us se
Tujh ko janam mujhi se ḳhatra hai
Aaj bhi ai kanar-e-ban mujhe
Teri ik sañvlīise ḳhatra hai
Un labnñ ka lahu na pi jaun
Apni tishna-labi se ḳhatra hai
‘Jaun’ hi to hai ‘jaun’ ke darpai
‘Mir’ ko ‘mir’ hi se ḳhatra hai
Ab nahiñ koi baat ḳhatre ki
Ab sabhi ko sabhi se ḳhatra hai