Hāsil se haath dho baiTh ai ārzū-ḳhirāmī
Dil josh-e-girya meñ hai Duubī huī asāmī
Us sham.a kī tarah se jis ko koī bujhā de
Maiñ bhī jale-huoñ meñ huuñ dāġh-e-nā-tamāmī
Karte ho shikva kis kā tum aur bevafāī
Sar pīTte haiñ apnā ham aur nek-nāmī
Sad-rañg-e-gul katarnā dar-parda qatl karnā
Teġh-e-adā nahīñ hai pāband-e-be-niyāmī
Tarf-e-suḳhan nahīñ hai mujh se ḳhudā-na-karda
Hai nāma-bar ko us se dāvā-e-ham-kalāmī
Tāqat fasāna-e-bād andesha sho.ala-ījād
Ai ġham hunūz ātish ai dil hunūz ḳhāmī
Har chand umr guzrī āzurdagī meñ lekin
Hai sharh-e-shauq ko bhī juuñ shikva nā-tamāmī
Hai yaas meñ ‘asad’ ko saaqī se bhī farāġhat
Dariyā se ḳhushk guzre mastoñ kī tishna-kāmī