Harīf-e-matlab-e-mushkil nahīñ fusūn-e-niyāz
Duā qubūl ho yā rab ki umr-e-ḳhizr darāz!
Na ho ba-harzah bayābāñ-navard-e-vahm-e-vajūd
Hanūz tere tasavvur meñ hai nasheb-o-farāz
Visāl jalva tamāshā hai par dimāġh kahāñ
Ki diije ā.ina-e-intizār ko pardāz
Har ek zarra-e-āshiq hai āftāb-parast
Ga.ī na ḳhaak hue par havā-e-jalva-e-nāz
Na pūchh vus.at-e-mai-ḳhāna-e-junūñ ‘Ghālib’
Jahāñ ye kāsa-e-gardūñ hai ek ḳhāk-andāz
Fareb-e-san.at-e-ījād kā tamāshā dekh
Nigāh aks-farosh o ḳhayāl ā.ina-sāz
Zi-bas-ki jalva-e-sayyād hairat-ārā hai
Udī hai safha-e-ḳhātir se sūrat-e-parvāz
Hujūm-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai
Ki shīsha nāzuk o sahbā-e-ābgīna-gudāz
‘Asad’ se tark-e-vafā kā gumāñ vo ma.anī hai
Ki khīñchiye par-e-tā.ir se sūrat-e-parvāz
Hanūz ai asar-e-dīd nañg-e-rusvā.ī
Nigāh fitna-ḳhirām o dar-e-do-ālam baaz…