Hai bazm-e-butāñ meñ suḳhan āzurda-laboñ se
Tañg aa.e haiñ ham aise ḳhushāmad-talaboñ se
Hai daur-e-qadah vaj.h-e-pareshāni-e-sahbā
Yak-bār lagā do ḳhum-e-mai mere laboñ se
Rindān-e-dar-e-mai-kada gustāḳh haiñ zāhid
Zinhār na honā taraf in be-adaboñ se
Bedād-e-vafā dekh, ki jaatī rahī Aḳhir
Har-chand mirī jaan ko thā rabt laboñ se
Kyā pūchhe hai bar-ḳhud ġhalatī-hā-e-Azīzāñ
Khvārī ko bhī ik aar hai a.ālī-nasaboñ se
Go tum ko razā-jūī-e-aġhyār hai lekin
Jaatī hai mulāqāt kab aise sababoñ se
Mat pūchh ‘asad’ va.ada-e-kam-fursatī-e-zīst
Do din bhī jo kaaTe tū qayāmat ta.aboñ se..