Hai ārmīdagī meñ nikohish bajā mujhe
Sub.h-e-vatan hai ḳhanda-e-dandāñ-numā mujhe
DhūñDe hai us muġhanni-e-ātish-nafas ko jī
Jis kī sadā ho jalva-e-barq-e-fanā mujhe
Mastāna tai karūñ huuñ rah-e-vādi-e-ḳhayāl
Tā bāz-gasht se na rahe mudda.ā mujhe
Kartā hai bas-ki baaġh meñ tū be-hijābiyāñ
Aane lagī hai nik.hat-e-gul se hayā mujhe
Khultā kisī pe kyuuñ mire dil kā mo.āmla
Sheroñ ke intiḳhāb ne rusvā kiyā mujhe
Vaañ rañg-hā ba-parda-e-tadbīr haiñ hunūz
Yaañ shola-e-charāġh hai barg-e-hinā mujhe
Parvāz-hā niyāz-e-tamāshā-e-husn-e-dost
Bāl-e-kushāda hai nigah-e-āshnā mujhe
Az-ḳhud-guzashtagī meñ ḳhamoshī pe harf hai
Mauj-e-ġhubār-e-surma huī hai sadā mujhe
Tā chand past fitrati-e-tab-e-Arzū
Yā rab mile bulandī-e-dast-e-duā mujhe
Maiñ ne junūñ se kī jo ‘asad’ iltimās-e-rañg
Khūn-e-jigar meñ ek hī ġhota diyā mujhe
Hai pech-tāb rishta-e-sham-e-Sahar-gahī
Khajlat gudāzī-e-nafas-e-nā-Rasā mujhe
Yaañ āb-o-dāna mausam-e-Gul meñ harām hai
Zunnār-e-vā-gusista hai mauj-e-sabā mujhe
Yakbār imtihān-e-havas bhī zarūr hai
Ai josh-e-ishq bāda-e-mard-Azmā mujhe..