www.realshayari.com

Ghar jab banā liyā tire dar par kahe Baġhair

Jānegā ab bhī tū na mirā ghar kahe Baġhair

 

Kahte haiñ jab rahī na mujhe tāqat-e-Suḳhan

Jānūñ kisī ke dil kī maiñ kyūñkar kahe Baġhair

 

Kaam us se aa paḌā hai ki jis kā jahān meñ

Leve na koī naam sitamgar kahe baġhair

 

Jī meñ hī kuchh nahīñ hai hamāre vagarna ham

Sar jaa.e yā rahe na raheñ par kahe Baġhair

Chhodūñgā maiñ na us but-e-Kāfir kā pūjnā

Chhode na ḳhalq go mujhe kāfar kahe baġhair

 

Maqsad hai nāz-o-ġhamza vale Guftugū meñ kaam

Chaltā nahīñ hai dashna-o-ḳhanjar kahe baġhair

 

Har chand ho mushāhida-e-haq kī Guftugū

Bantī nahīñ hai bāda-o-sāġhar kahe Baġhair

 

Bahrā huuñ maiñ to chāhiye duunā ho Iltifāt

Suntā nahīñ huuñ baat mukarrar kahe Baġhair

 

‘Ghālib’ na kar huzūr meñ tū baar baar arz

Zāhir hai terā haal sab un par kahe baġhair….

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *