Gham khāne meñ buudā dil-e-Nākām bahut hai
Ye rañj ki kam hai mai-e-gulfām bahut hai
Kahte hue saaqī se hayā aatī hai varna
Hai yuuñ ki mujhe durd-e-tah-e-Jām bahut hai
Ne tiir kamāñ meñ hai na sayād kamīñ meñ
Goshe meñ qafas ke mujhe Arām bahut hai
Kyā zohd ko mānūñ ki na ho garche Riyāī
Pādāsh-e-amal kī tama-e-ḳhām bahut hai
Haiñ ahl-e-ḳhirad kis ravish-e-ḳhās pe Nāzāñ
Pābastagi-e-rasm-o-rāh-e-ām bahut hai
Zamzam hī pe chhoḌo mujhe kyā Tauf-e-haram se
Alūdā-ba-mai jāma-e-ehrām bahut hai
Hai qahr gar ab bhī na bane baat ki un ko
Inkār nahīñ aur mujhe ibrām bahut hai
Khuuñ ho ke jigar aañkh se Tapkā nahīñ ai Marg
Rahne de mujhe yaañ ki abhī kaam bahut hai
Hogā koī aisā bhī ki ‘ġhālib’ ko na jaane
Shāyar to vo achchhā hai par Badnām bahut hai