Ghāfil ba-vahm-e-nāz ḳhud-ārā hai varna yaañ
Be-shāna-e-sabā nahīñ turra gayāh kā
Bazm-e-qadah se aish-e-tamannā na rakh ki rañg
Said-e-ze-dām-e-jasta hai us dām-gāh kā
Rahmat agar qubūl kare kyā ba.iid hai
Sharmindagī se uzr na karnā gunāh kā
Maqtal ko kis nashāt se jaatā huuñ maiñ ki hai
Pur-gul ḳhayāl-e-zaḳhm se dāman nigāh kā
Jaañ dar-havā-e-yak-nigah-e-garm hai ‘Asad’
Parvāna hai vakīl tire dād-ḳhvāh kā
Uzlat-guzīn-e-bazm haiñ vāmāñdagān-e-dīd
Mīnā-e-mai hai aabla pā-e-nigāh kā
Har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadam
Kyā biim ahl-e-dard ko saḳhtī-e-rāh kā
Tā.ūs-e-dar-rikāb hai har zarra aah kā
Yā-rab nafas ġhubār hai kis jalva-gāh kā
Aīna huuñ shikastan-e-tarf-e-kulāh kā