Garm-e-fariyād rakhā shakl-e-nihālī ne mujhe
Tab amaañ hijr meñ dī bard-e-layālī ne mujhe
Nisyah-o-naqd-e-do-ālam kī haqīqat mālūm
Le liyā mujh se mirī himmat-e-ālī ne mujhe
Kasrat-ārā.i-e-vahdat hai parastārī-e-vahm
Kar diyā kāfir in asnām-e-ḳhayālī ne mujhe
Havas-e-gul ke tasavvur meñ bhī khaTkā na rahā
Ajab ārām diyā be-par-o-bālī ne mujhe
Zindagī meñ bhī rahā zauq-e-fanā kā maarā
Nashsha baḳhshā ġhazab us sāġhar-e-ḳhālī ne mujhe
Bas-ki thī fasl-e-ḳhizān-e-chamanistān-e-suḳhan
Rañg-e-shohrat na diyā tāza-ḳhayālī ne mujhe
Jalva-e-ḳhur se fanā hotī hai shabnam ‘ġhālib’
Kho diyā satvat-e-asmā-e-jalālī ne mujhe