Sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho ga.iiñ
Khaak meñ kyā sūrateñ hoñgī ki pinhāñ ho ga.iiñ
Yaad thiiñ ham ko bhī rañgā-rañg bazm-ārā.īyāñ
Lekin ab naqsh-o-nigār-e-tāq-e-nisyāñ ho ga.iiñ
Thiiñ banāt-un-nāsh-e-gardūñ din ko parde meñ nihāñ
Shab ko un ke jī meñ kyā aa.ī ki uryāñ ho ga.iiñ
Qaid meñ yāqūb ne lī go na yūsuf kī ḳhabar
Lekin āñkheñ rauzan-e-dīvār-e-zindāñ ho ga.iiñ
Sab raqīboñ se hoñ nā-ḳhush par zanān-e-misr se
Hai zuleḳhā ḳhush ki mahv-e-māh-e-kan.āñ ho ga.iiñ
Jū-e-ḳhūñ āñkhoñ se bahne do ki hai shām-e-firāq
Maiñ ye samjhūñgā ki sham.eñ do farozāñ ho ga.iiñ
In parī-zādoñ se leñge ḳhuld meñ ham intiqām
Qudrat-e-haq se yahī hūreñ agar vaañ ho ga.iiñ
Niiñd us kī hai dimāġh us kā hai rāteñ us kī haiñ
Terī zulfeñ jis ke baazū par pareshāñ ho ga.iiñ
Maiñ chaman meñ kyā gayā goyā dabistāñ khul gayā
Bulbuleñ sun kar mire naale ġhazal-ḳhvāñ ho ga.iiñ
Vo nigāheñ kyuuñ huī jaatī haiñ yā-rab dil ke paar
Jo mirī kotāhī-e-qismat se mizhgāñ ho ga.iiñ
Bas-ki rokā maiñ ne aur siine meñ ubhrīñ pai-ba-pai
Merī aaheñ baḳhiya-e-chāk-e-garebāñ ho ga.iiñ
Vaañ gayā bhī maiñ to un kī gāliyoñ kā kyā javāb
Yaad thiiñ jitnī duā.eñ sarf-e-darbāñ ho ga.iiñ
Jāñ-fazā hai baada jis ke haath meñ jaam aa gayā
Sab lakīreñ haath kī goyā rag-e-jāñ ho ga.iiñ
Ham muvahhid haiñ hamārā kesh hai tark-e-rūsūm
Millateñ jab miT ga.iiñ ajzā-e-īmāñ ho ga.iiñ
Rañj se ḳhūgar huā insāñ to miT jaatā hai rañj
Mushkileñ mujh par paḌīñ itnī ki āsāñ ho ga.iiñ
Yuuñ hī gar rotā rahā ‘ġhālib’ to ai ahl-e-jahāñ
Dekhnā in bastiyoñ ko tum ki vīrāñ ho ga.iiñ