Dekhnā qismat ki aap apne pe rashk aa jae hai
Maiñ use dekhūñ bhalā kab mujh se dekhā jae hai
Haath dho dil se yahī garmī gar Andeshe meñ hai
Abgīna tundi-e-sahbā se pighlā jae hai
Ghair ko yā rab vo kyūñkar mana-e-Gustāḳhī kare
Gar hayā bhī us ko aatī hai to sharmā jae hai
Shauq ko ye lat ki har dam naala khīñche jā.iye
Dil kī vo hālat ki dam lene se ghabrā jae hai
Dur chashm-e-bad tirī bazm-e-tarab se vaah vaah
Naġhma ho jaatā hai vaañ gar naala merā jae hai
Garche hai tarz-e-taġhāful parda-dār-e-Rāz-e-ishq
Par ham aise kho.e jaate haiñ ki vo pā jae hai
Us kī bazm-ārā.iyāñ sun kar dil-e-ranjūr yaañ
Misl-e-naqsh-e-Mudda.ā-e-ġhair baithā jae hai
Ho ke āshiq vo parī-ruḳh aur nāzuk ban gayā
Rañg khultā jaa.e hai jitnā ki udtā jae hai
Naqsh ko us ke musavvir par bhī kyā kyā Naaz haiñ
Khīñchtā hai jis qadar utnā hī khiñchtā jae hai
Saya merā mujh se misl-e-dūd bhāge hai ‘Asad’
Paas mujh ātish-ba-jāñ ke kis se Thahrā jae hai