kisi ko de ke dil koi nawa-sanj-e-fughan kyun ho

kisi ko de ke dil koi nawa-sanj-e-fughan kyun ho | Mirza Ghalib

kisī ko de ke dil koī navā-sanj-e-fuġhāñ kyuuñ ho

na ho jab dil siine meñ to phir muñh meñ zabāñ kyuuñ ho

 

vo apnī ḳhū na chhoḌeñge ham apnī vaz.a kyuuñ chhoḌeñ

subuk-sar ban ke kyā pūchheñ ki ham se sargirāñ kyuuñ ho

 

kiyā ġham-ḳhvār ne rusvā lage aag is mohabbat ko

na laave taab jo ġham vo merā rāz-dāñ kyuuñ ho

 

vafā kaisī kahāñ ishq jab sar phoḌnā Thahrā

to phir ai sang-dil terā sañg-e-āstāñ kyuuñ ho

 

qafas meñ mujh se rūdād-e-chaman kahte na Dar hamdam

girī hai jis pe kal bijlī vo merā āshiyāñ kyuuñ ho

 

ye kah sakte ho ham dil meñ nahīñ haiñ par ye batlāo

ki jab dil meñ tumhīñ tum ho to āñkhoñ se nihāñ kyuuñ ho

 

ġhalat hai jazb-e-dil shikva dekho jurm kis hai

na khīñcho gar tum apne ko kashākash darmiyāñ kyuuñ ho

 

ye fitna aadmī ḳhāna-vīrānī ko kyā kam hai

hue tum dost jis ke dushman us āsmāñ kyuuñ ho

 

yahī hai āzmānā to satānā kis ko kahte haiñ

adū ke ho liye jab tum to merā imtihāñ kyuuñ ho

kahā tum ne ki kyuuñ ho ġhair ke milne meñ rusvā.ī

bajā kahte ho sach kahte ho phir kahiyo ki haañ kyuuñ ho

 

nikālā chāhtā hai kaam kyā ta.anoñ se ‘ġhālib’

tire be-mehr kahne se vo tujh par mehrbāñ kyuuñ ho

kisi ko de ke dil koi nawa-sanj-e-fughan kyun ho | Mirza Ghalib

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *