Dard se mere hai tujh ko be-qarārī hae hae
Kyā huī Zālim tirī ġhaflat-shi.ārī hae hae
Tere dil meñ gar na thā āshob-e-ġham kā hausla
Tū ne phir kyuuñ kī thī merī ġham-gusārī hae hae
Kyuñ mirī ġham-ḳhvārgī kā tujh ko aayā thā ḳhayāl
Dushmanī apnī thī merī dost-dārī haa.e hae
Uamr bhar kā tū ne paimān-e-vafā bāñdhā to kyā
Uamr ko bhī to nahīñ hai pā.edārī hae hae
Zahr lagtī hai mujhe āb-o-havā-e-zindagī
Yaanī tujh se thī ise nā-sāzgārī hae hae
Gul-fishānī-hā-e-nāz-e-jalva ko kyā ho gayā
Khaak par hotī hai terī lāla-kārī hae hae
Sharm-e-rusvā.ī se jā chhupnā naqāb-e-ḳhāk meñ
Khatm hai ulfat kī tujh par parda-dārī haa.e hae
Khaak meñ nāmūs-e-paimān-e-mohabbat mil gaī
UTh ga.ī duniyā se rāh-o-rasm-e-yārī haa.e hae
Haath hī teġh-āzmā kā kaam se jaatā rahā
Dil pe ik lagne na paayā zaḳhm-e-kārī hae hae
Kis tarah kaaTe koī shab-hā-e-tār-e-barshigāl
Hai nazar ḳhū-karda-e-aḳhtar-shumārī hae haa.e
Gosh mahjūr-e-payām o chashm-e-mahrūm-e-jamāl
Ek dil tis par ye nā-ummīd-vārī hae hae
Ishq ne pakḌā na thā ‘ġhālib’ abhī vahshat kā rañg
Rah gayā thā dil meñ jo kuchh zauq-e-ḳhvārī hae hae