Alam-e-ab-o-ḳhak-o-bad sir-e-ayan hai tu ki mai
Vo jo nazar se hai nihan us ka jahan hai tu ki mai
Vo shab-e-dard-o-soz-o-Gam kahte hai zindagi jise
Us ki sahar hai tU ki mai us ki azaan hai tu ki mai
Kis ki numud ke liye shaam o sahar hain garm-e-sair
Shana-e-rozgar par bar-e-giran hai tu ki mai
Tu kaf-e-ḳhak o be-basar main kaf-e-ḳhak o ḳhud-nigar
Kisht-e-vajud ke liye ab-e-ravan hai tu ki mai