Abhi farman aaya hai vahan se
Ki hat jaun main apne darmiyan se
Yahan jo hai tanaffus hi men gum hai
Parinde ud rahe hain shaḳh-e-jan se
Daricha baaz hai yadon ka aur main
Hava sunta huun pedon ki zaban se
zamana tha vo dil ki zindagi ka
Tiri furqat ke din laun kahan se
Tha ab tak maarka bahar ka darpesh
Abhi to ghar bhi jaana hai yahañ se
Fulan se thi ġhazal behtar fulañ ki
Fulan ke zaḳhm achchhe the fulan se
Khabar kya duun main shahr-e-raftagan ki
Koi lauTe bhi Shahr-e-raftagan se
Yahi anjam kya tujh ko havas tha
Koi puchhe to mir-e-dastan se