Tera muskurate hue
Tera muskurate hue aana humko achcha laga,
Woh tera sharam se guzar jana achcha laga,
Door se dekhna woh tera paas aakar,
Nazarein jhukana achcha laga.
Woh jo barson se tere seene mein kaid hai,
Ankhon se batana achcha laga.
Tera jate waqt mud kar dekhna,
Phir kadmon ka ruk jana achcha laga.
Pal pal ke rishte ka vaada hai aapse,
Apna pan kuch itna zyada hai aapse,
Na sochna ke bhool jayenge aapko,
Zindagi bhar chahenge ye vaada hai aapse.
Tumhe khone se darta hai dil,
Har pal tum pe marta hai dil,
Pal pal yaad tumhe krta hai dil,
Ek pal tujhe bhoola tha yeh dil,
Tab se tujhe bhoolne se jyada,
Dhadakne se darta hain yeh dil.
Hum iss qadar tumpe mar mittege,
tum jahan dekhoge hum hi tumhe dikhege,
rakhna har pal iss dil mein hamari yaad,
hamare baad hamare pyar ki daastaan duniya vaale likhege.
Raat hui jab shaam ke baad,
Teri yaad aai har baat ke baad,
Humne khamosh rahkar bhi dekha,
Lekin Teri aawaj aayi har saans ke baad.
Lamho-lamho per khwab likhunga
Apne pyar per kitaab likhunga
Aapki gale ko ko phool ki tehni
Aur aapke chehre ko gulab likhunga…
Sadiyo se ek sapna hai,
Kaho pura karoge tum?
Bhool jao mere siwa sab kuch,
Kaho aisa karoge tum?
Nahi kuch or tamana ab,
Ke bas mere ho jao tum,
Kabhi na chor ke jaoge,
Kaho aisa karoge tum?
Faqat ek lafz sunne ko,
Kayi barson se tarsi hu,
Mujhe apna bana lo,
Kaho aisa karoge tum?
Also Read – बिच्छरण | Real Shayari
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari