Taskīñ ko ham na ro.eñ jo zauq-e-nazar mile
Hūrān-e-ḳhuld meñ tirī sūrat magar mile
Apnī galī meñ mujh ko na kar dafn bād-e-qatl
Mere pate se ḳhalq ko kyuuñ terā ghar mile
Sāqī-garī kī sharm karo aaj varna ham
Har shab piyā hī karte haiñ mai jis qadar mile
Tujh se to kuchh kalām nahīñ lekin ai nadīm
Merā salām kahiyo agar nāma-bar mile
Tum ko bhī ham dikhā.eñ ki majnūñ ne kyā kiyā
Fursat kashākash-e-ġham-e-pinhāñ se gar mile
Lāzim nahīñ ki ḳhizr kī ham pairvī kareñ
Jaanā ki ik buzurg hameñ ham-safar mile
Ai sākinān-e-kucha-e-dildār dekhnā
Tum ko kahīñ jo ‘ġhālib’-e-āshufta-sar mile