Tapish-e-sehra aur dariya-e-noor,
Dikhate hai Kam aise karishme hone ko,
Mil jaye koi wafadaar iss daur mein,
Daulat vahi hai sabse badi khone ko.
Bhoolakar mohobbat lhush hai koi,
Toh khoon-e-ashq rota hai,
Ussi ke hone ko.
Jiteji nahi Hui qadar ,
Aur kataaro mein khade hai,
Kafan mein chehra dekhne ko.
Zeher see lehzaa rakh Kar puchte hai,
Kya baat Hui Jo anjaam aaya rone ko?
Na mitana makaam-e-mohobbat kabhi,
Umar beet jati hai,
Dil mein makaan hone ko.
Gairat mein na chhod Dena ,
Kabhi kisi ka sath,
Kya khabar uske paas kuch bacha hi na ho,
Tere Siva khone ko.