Phool Hun Main,
Phool Hun Main Meri Khusboo Tum Ho,
Dil Hun Main meri Dhadkan Tum Ho,
Jaan Hun Main aur Meri Rooh Tum Ho,
Jism Hun Main or Meri Zindagi Tum Ho.
Tum haseen ho, gulab jaisi ho,
Bahut nazuk ho khawab jaisi ho,
Hothon se lagakar pii jaun tumhe
Sir se paar tak sharab jaisi ho…!!
Mere wajud mein kash tu samaa jaye,
Ma dekhu aaina to aks tera nazar aaye,
Tu jb bhi ho samne waqt ye thehar jaye,
Meri puri umar tujhe dekh kar gujar jaye.
Mujhko phir wahi suhana nazara mil gaya,
Nazron ko jo deedar tumhara mil gaya,
Aur kisi cheez ki tamanna kyun karu,
Jab mujhe teri baahon me sahara mil gaya.
Phool Hun Main.
Also Read – बिच्छरण | Real Shayari
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari