Nigahon mein ye moti hain, ya angare hai bhare isme,
Surkh chimni hai, pighalti hai motiya isme,
Sambhalu khud ko mai, ya mujhko sambhalo yaaron,
Hausla har chuka, ab nahi mujh mein himmat yaaron.
Bedaag Samundar hai, bahut door kinara hai,
Tair kar jaun ye dariya, ya doob jaun yaaron.
Mehfil ye haseen hai, shama-o-Bahar hai isme,
Khusbu to bhut hai lekin, pakeezgi nahi yaaron.
Mai chala jaun to koi gam na karna,
Zindagi to asli apni, maut ke bad hai yaaron.