Na Jane Kyun Khud Ko Akela Sa Paya Hai

Na Jane Kyun Khud Ko Akela Sa Paya Hai,
Har Ek Rishte Me Khud Ko Ganwaya Hai,
Shayad Koyi Toh Kami Hai Mere Wajood Mein,
Tabhi Har Kisi Ne Humein Yun Hi Thukraya Hai,

Na Jane Kyun Khud Ko Akela Sa Paya Hai.

Kabhi Pahlu Mein Aao Toh Batayenge Tumhein,
Haal-E-Dil Apna Tamaam Sunayenge Tumhein,
Kaati Hain Akele Kaise Humne Tanhayi Ki Raatein,
Har Uss Raat Ki Tadap Dikhayenge Tumhein

Zamana So Gaya Aur Main Jaga Raat Bhar Tanha,
Tumhare Gam Se Dil Rota Raha Raat Bhar Tanha.

Mere HumDum Tere Aane Ki Aahat Ab Nahi Milti,
Magar Nas-Nas Mein Tu Goonjti Rehti Raat Bhar Tanha.

Nahi Aaya Tha Qayamat Ka Pehar Phir Yeh Hua,
Intezaron Mein Hi Main Marta Raha Raat Bhar Tanha.

Apni Soorat Pe Lagata Raha Main Ishtehar-e-Zakhm,
Jisko Parh Ke Chand Jalta Raha Raat Bhar Tanha.

Chalte-Chalte Akele Ab Thak Gaye Hum,
Jo Manzil Ko Jaye Wo Dagar Chahiye.
Tanhayi Ka Bojh Ab Aur UthTa Nahi,
Ab Humko Bhi Ek HumSafar Chahiye,

Kuchh Zindagi Mein Kami Hai Tere Bagair,
Na Rang Hai Na Roshni Hai Tere Bagair,
Waqt Chal Raha Hai Apni Hi Raftar Se,
Bas Tham Gayi Hai Dhadkan Tere Bagair.

Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai,
Khamoshion Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Na Shiqwa Raha Na Shikayat Kisi Se,
Mohabbat Ab Tanhayion Se Ho Gayi Hai.

Also Read –  Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai

Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm

Browse more content – http://www.needtricks.com

Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/

https://www.facebook.com/RealShaayari

Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA

By Real Shayari

Real Shayari Ek Koshish hai Duniya ke tamaan shayar ko ek jagah laane ki.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *