Meri behna kabhi mujhse ladti hai
Meri behna kabhi mujhse ladti hai,
Kabhi mujhse jhagadti hai, lekin
Bina kahe har baat samajhne ka
Hunar bhi rakhti hai
Waqt Ke Saath Badal Jata Hai Har Rista,
Jarurate Khatm Hote Hi Mar Jaata Hai Rista,
Par Ladne Jhagarne Aur Dur Hone Ke Wawajud Bhi,
Jisme Pyar Badhta Rahata Hai Woh Bhai-Behan Ka Rista Hota Hai.
Wo Kabhi Sunati Hai, To Kabhi Puchkarti Hai,
Meri Pyari Behan Ek Pal Jhagarti hai,
Toh Dusre Pal Gale Lag Jaati Hai,
Yahi Pyaar Bhara Rista Hai Humara.
Bholi-Bholi Surat Hai Aur Pyari Si Muskaan,
Dil Ki Hai Masoom Magar Mithi Churi Si Jubaan,
Chanchal Si Hai Aankein Teri Tu Hai Thori Saitaan,
Par Meri RajKumari Tu Tujhme Basti Meri Jaan.
Bare Hi Adab Aur Prem Se Likha Hai,
Bahana Tera aur Mera Rista,
Dur Hoker Bhi Tu Dil Me Rahati Hai,
Teri Yaadein Khushiyo Ki Lahar Si Bahati Hai.
Also Read – Real Shayari Maa Teri Yaad Satati Hai
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari